"Meraa astitva hi nahin"
Doobatay sooraj saa doobaa-2 jaayay,
dil meraa jaane kyun, itni jyadaa chot khaayay.
Har taraf hain failay mere sirf udaasiyon ke manjar,
Har taraf hain failay mere sirf udaasiyon ke manjar,
gahray-2 tak dhasein hain, khaamoshiyon ke khanjar.
Hak nahin hai kyaa mujhko behtar zindagi kaa,
swaad miltaa rehtaa hai kyun, fal ki neerastaa kaa.
Meri soorat pe mat jaana, meri soorat achchhi nahin,
gamon ko peetay rehnay say, chamak ismay rehti nahin.
Poochh sakein to poochhein mujhse,
haal-e-dil kaisaa hai,
bas itnaa kahoongaa aapsay,
ret kay mehel jaisaa hai.
Jisay tootanay mein nahin lagti hai,
kshann bhar ki bhi der,
khoobsoorat khwaab jaise ban jaatay hain mitti ke dher.
Par aisi baat nahin ki insay main hoon pareshaan,
Par aisi baat nahin ki insay main hoon pareshaan,
jo nahin so nahin, jo main hoon, wahi hai meri pehchaan.
Aadat jaise ho gayee hai, mujhko aise jeenay ki,
tabhi parwaah nahin hai mujhko kisikay kuchh bhi kehnay ki.
Aisi meri tasweer hai, shaayad yehi meri takdeer hai,
Aisi meri tasweer hai, shaayad yehi meri takdeer hai,
karm kiye honge pehle kuchh aise,tabhi aankhon mein neer hai.
Sochtaa hoon chhup jaaon, kisi tanhaayee mein kahin,
lekin moonh fer lene say kuchh milegaa bhi to nahin.
Main khush hoon apne-aap say,
Main khush hoon apne-aap say,
main khush hoon is jahaan say,
Mujhe dukh hain nahin, mere sapnay bhi nahin,
KYUNKI Main kyaa hoon, kaisaa hoon,
"Meraa Astitva hi nahin".
:Composed on 14th of june, 2007
:By Shashank shekhar srivastava @ ShaZ, 18.