"Aksar tanhaaiyon mein, gumsum baithaa sochtaa hoon"
Aksar tanhaaiyon mein, gumsum baithaa sochtaa hoon,
Him ki sheetalta mein bhi, lapton saa dhadhaktaa hoon,
Jeenaa to hanskar chaahiyay, par kyun akelaa main sisaktaa hoon,
Kehnaa to chaahoon, par kahnay mein bhi jhijhaktaa hoon,
Khol doon darwaajay dil kay, ki dukh kaa saagar beh jaaye;
Naa jaanay kyun par, khud ko Zanjeeron mein jakadta hoon.
Bahut takleefein jhelee hain dil ne, bahut jhelni baaki hain,
Khud parvardigaar bhi rooth gayaa hai, aisa main samajhta hoon.
Jin aankhon mein bhari thi kabhi ek sharaarat, kabhi thi ek saumyataa;
Un aankhon ka darpan bhi ab roj badaltaa hoon.
Bahut samjhaayaa hai is dil ko, par ye nahin maanta hai;
Kaaboo paa loon in zazbaaton pe, isliye itnaa machaltaa hoon.
Woh tiraskaar, woh vyangya; woh ghrinaa, woh haasya;
Apnay inhin kaanon se roj main suntaa hoon.
Yaad kabhi karoon inhein dobaaraa to,foot foot kar bilakhtaa hoon.
Chalte-2 kyun ruk gayaa hoon, aage koi dariyaa bhi to nahin;
Par dil mein itni khalish hai, ki usi dariyaa mein doobtaa hoon.
Naa raahein mushkil hain, naa manzil aasaan,fir kyun ye maayusi hai;
Dil ki baat naa kar paaoon bayaan, isliye shabdon mein likhtaa hoon.
Har kisi ko matlab hai har kisi say;Har kisi ko shiqvaa hai har kisi say,
Naa mujhe matlab, naa mujhe shiqvaa, isliye sabse alag vichartaa hoon.
Gam to bahut dekhe hain in nainon nay, paap bhi dekhe hain;
Naa paap dekhoon, na gam dekhoon, tabhi to band aankhon say hi chaltaa hoon.
Astitva ki ladaayee main, shithil ho gaye hain paanv;
Shaayad tabhi daudanay ki bajaaye, ghutnon par ghisatataa hoon.
Armaan to bahut thay, sapnay beshumaar thay;
Kabhi mehfilon kay thay , to kahin bahaaron kay thay;
Par dhokhaa aisaa khaayaa kismat say;
Ki khud apnay haathon say, un armaanon ki kabra khodtaa hoon.
Aksar tanhaaiyon mein, gumsum baithaa sochtaa hoon.
): Composed By Shashank shekhar srivastava, the ShaZ :(
Call me: 01250-325752(try removin' 0 from 01250 if it doesn't work!)
SMS me: Same number.
No comments:
Post a Comment