Friday, September 14, 2007

Patthar Ki Moorti


------------------- "PATTHAR KI MOORTI" -------------------

Wo poochhatay hain mujhse, ye kaun si patthar ki "moorti" hai,
Jo baarishon mein "ghulti" hai,
Jo bheeshan garmi mein "pighalti" hai,
Jo atyadhik sardi mein "thithurti" hai,
Jo naa jaane kis se "sahamti" hai.
Woh jo pratikool sthitiyon kay aagey "bebas" hai,
Uske andar kaunsi "kashmakash" hai.
Woh kyun binaa aansuon ke "roti" hai,
Uski aankhein saari raat naa "soti" hain,
Milay hain gam jabki khushiyaan "boti" hai.
Kyun is toofaan mein adig "khadi" hai,
Kaun si mushkil uski raah mein "padi" hai,
Kaun si takleef uski jindagi se bhi "badi" hai,
Intni tanhaa, itni bejaan, yeh kaisi ajeeb "ghadi" hai.
Main kehtaa hoon, ye bejaan si "meri" hi "moorat" hai,
Gamon ke zeher ke kaaran bigdi iski "soorat" hai,
Wohi bewafaa niklaa jiski sabse jyaadaa "jaroorat" hai,
Ab bas dard sehtaa jaaon itni mujhmein "masroofiyat" hai.
Ye woh moorat hai jismein koi aatmaa nahin "basti" hai,
Unhin ki yaad mein ye din-rain "tadapti" hai,
Jinhay dil say ijjat detay thay, woh kisi aur firaak mein "rehti" hain,
Samajh gaye naa ab, ye kaun si patthar ki "moorti" hai.


Composed by: Shashank shekhar srivastava, (On 13 th of July, 2007)

18, B.Sc II medical, Sha_22_11@yahoo.co.in

No comments: